ek raat ek farishta neend se jaga ke bola
"maang ae bande teri aakhiri ichcha kya hai"
ek pal ko to jahaan tham sa gaya
sochke,dil hil gaya
fir maine khudse pucha
"Itni jaldi!"
"akhir meri saza kya hai?"
wo un andhere galiyaaro me se fir bola,
"akhiri saans lene se pehle,
palke humesha ke liye moondne se pehle,
kya kisi sapne ko poora karna hai chahta?
kya chahat hai teri, kya hai armaan,
Kya hai jo apne jiwan se hai chahta?
Kis manzil tak chahta hai jana?
ya kisi galti ko chahta hai sudharna?"
fir maine khud se pucha
aatm-sameeksha kar man ne batlaya,
ek arthheen, be-maksad,
bhautik sukhoo me lipt jeevan
antheen ichchaaye, hazaroo khwahishe,
yahi sochte hue ek aansu jhalak aya,
khud ko shaant kar main bola
"Bahut si chhoti-chhoti cheezein
Ek boond paani
Ek lamha pyar
Ek katra vishwas
Ek pal ki shanti
Ek chain ki saans
Ghadi bhar ka saath
Ek shaant muskaan
Ek khushi ka daan
Ek gham ka nidan
Ek rasta anjaan
Aur EK PEHCHAAN"
sunke meri baat,farista muskuraya
"maang liya poora jahan
in choti choti ichchaoo me
ab tak kya kar rha tha,
so rha tha kya insaan?
jee le kuch aur pal,
kar le poore apne armaan"
Muthhi mein ek sagar thama ke
Mujhe mera rasta dikha ke
Dekar aur ek mauka, farishta woh mera
Gayab yoon hua, ki nazar bhi na aya
Ek pal ko thamke, fir maine mudke
Muskarati zindagi apni se kaha
"Tune mujhe ek naam ek wajood diya tha kabhi
Aj tera karz utaarne ka samay hai aya"