Search This Blog

Saturday, June 14, 2008

koi deewana kehta hai....

Koi Deewana kahta hai Koi Pagal samajhta hai,
magar dharti ki bechaini ko bas badal samajhta hai.
Main tujhse door kaisa hoon , Tu mujhse door kaisi hai,
ye tera dil samajhta hai ya mera Dil samajhta hai..

Maohabbat ek ehsason ki pawan si nishani hai,
Kabhi Kabira diwana tha kabhi Meera Diwani hai.
Yahan sab log kahte hain mere aankhon me aansun hain,
Jo tu samjhe to moti hain.. jo na samjhe to pani hain..

Samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta,
Ye aansoon pyar ka moti hai isko kho nahin sakta.
Mere chahat ko dulhan tu bana lena , magar sunle
Jo mera ho nahin paya.. wo tera ho nahin sakta...

Bhramar koi kumudni par machal baitha to hangama,
Hamare dil me koi khwab pal baitha to hangama.
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohabbat ka
Main kisse ko haqeeqat me badal baitha to hangama....

1 comment:

Manish said...

i think i have read it bfr ....or mayb sumthing LIKE it ....is it by dr. kumar vishwas ??? ..