Search This Blog

Friday, February 28, 2014

Devdas movie dialogues



Devdas Movie Dialogues

Each Dialogue in itself is deep and has its own essence
1. Dil ke chhalon ko koi shayari kahe to kahe
Takleef to tab hoti hai, Jab log wah-wah karte hai

2. Apne hisse ki zindagi to hum jee chuke chunni babu,
Ab to bas dhadkanon ka lihaj karte hain,
Magar kya karen duniya walon ka,
Jo aakhari saans par bhi aitaraz karte hain.

3. Pyar aatma ki parchhai hai
Ishq ishwar ki ibadat
aur Mohabbat zindagi ka maksad
magar afsos ki baat hai chunni babu,
ki aapke dost ke paas to kuchh bhi nahi hai,
na atma na ibadat na maksad,
aur aap ye jo baar baar hathon main rupaye pakadte hain na dev babu,
kotho par ye tawayafo ke talwon main hote hain,
agar itna hi ghamand hai apne aap par, to hame wahi lauta dijiye,
jo humne aap par kharch kiye hain, do ratein
humari do ratein udhar rahee aap par dev babu,
jab tak aap nahi aayenge mahfil nahi sajegi,
in aankho ko aapka intazaar rahega


4. "babuji ne kahaa gaon chhod do,
sabne kahaa paro ko chhod do,
paro ne kahaa sharaab chhod do,
aaj tumne kah dia, haweli chhod do,
ek din aayega jab wo kahenge, duniya hi chhod do"


5. Yu nazar se nazar ki baat ki, ki dil chura le gaye
hum to samjhe the but, aap to dhadhkan suna gaye

6. Kaun kambakht bardasht karne ko peeta hai hum to peete hain ki yahan par bhaith sakain tumhein dekh sakain, tumhain bardasht kar sakain, behosh ho sakain, paroo ko bhula sakain, par chandramukhi, yeh paroo ki yaad hamain hosh khone nahi deti, kyun itna peene ke baad bhi uski yaad hame satati hai din raat kyun .....kyun itna na samajh ho jata hai insaan ....kyun galti kar bhaithata hai ...kyun ek choti si galti ki itni badi saza milti hai ki zindagi ke raaste hi alag ho jate hain, ek chala jaye shadi ke raaste par aur dusra...

7. Aurat maa hoti hai, behen hoti hai, patni hoti hai, dost hoti hai
aur jab woh kuch nahi hoti, toh tawaif hoti hai

8. Kitni aasani se ginvah diya ki tumhe har pal meri yaad aati thi
lekin yeh nahi socha ki un palon mein beetta toh main hi tha
diya tum jalati thi
par jalta toh main hi tha

9. D se dil bhi hota hai D se dard bhi in dono ka rishta bahut gehraa hota hai bondhu.

No comments: