Search This Blog

Friday, January 31, 2014

Meri Jung

ye jung hai apni kisi begaane ki nahi
ye jung hai imtehaano me khud ko aazmaane ki
khud ki parakh karke khud ko apni nazroo me uthane ki
ye jung hai apni galtiyoo ko sudharne ki
 
ab tak jee rhe the, jungloo me bhatakte
ab takat aayi hai sapna sach kar dikhani ki
ab zarurat hai arjun ko pratyancha chadhane ki,
abhimanyu ko chakravyuuh tod bahar aane ki
 
behakaane k liye duniya,sawaarne k liye bus kuch
ab zarurat hai unhi kuch ko pehchanne ki
teer k us paar jaa bhaithe panchi ko
ab zarurat hai apne gharaunde wapas aane ki

ek jeevan chand saanse aur ek baar aankhe moondna
yahi kahani chalti aayi hai is kathor zamane ki
par ab ye jung hai kuch naya kar dikhane ki
 
ye jung hai apni, kisi begaane ki nahi
ye jung hai meri khud se, duniye se nahi
ye jung hai khud kuch kar dikhane ki
khud sawarke khud ko saabit kar pehchaan banane ki

No comments: