Search This Blog

Tuesday, June 5, 2018

Raaste


Mud ke dekha to raasto ka dil toot gaya,
raasto ki baaho me kho gaya, to manzil bura maan gayi,
Isi kashmakash me chalte hue, bahot aage nikal gaya,
pata hi na chala, kab subah se shaam dhalne pe aa gayi

Soch ke Bina gire, samhal k chalna,
Duniya k banay inhi raasto pe abtak samay bita diya
Lekin thokhar khake, girke samahlna,
Is alag ehsaas se aaj ae raasto tumne milwa diya

Humsafar me junoon ho age badhte rehne ka,
To raaste to hum khud banane waalo me se the,
Girke samhalne Ko Naam de diya kismat ka,
Warna kismat to hum khud likhne walo me se the

Abtak raasto ke paththar Ko bhi pranam kiya
Rukne ke badle, usi Ko sabak Bana liya
ehmiyat thi is sabki, Dil me Kahi
Par na jaane kal hogi ya nahi

raasto se maine 2 pal ruk ke puucha, kaha le chalega aaj,
to wo bhi haske bola, Tay to tune kar Liya hai
Wahi Disha hai,ab bus sun us hawa ka saaz,
Bus do pal Ruk ke soch ki kyu wo faisla Kiya hai

No comments: